Barambar pranam, Maiya barambar pranam
Jo nahin dhyavai tumhen Ambike, kahan use vishram।
Annapurna Devi naam tiharo, let hot sab kaam
Barambar pranam, Maiya barambar pranam
Pralay yugantar aur janmantar, kalantar tak naam।
Sur suron ki rachna karte hain, kahan Krishna kahan Ram
Barambar pranam, Maiya barambar pranam
Chumahi charan chatur chaturanan, charu chakradhar Shyam।
Chandrachud chandranan chakr, shobha lakhahi lalam
Barambar pranam, Maiya barambar pranam
Devi antim dev dasha mein, daya daya tav naam।
Trahi-trahi sharanagat vatsal, sharan roop tav dham
Barambar pranam, Maiya barambar pranam
Shrim,Hrim,Shraddha,Shrim Aim Vidya, Shrim Klim kamal kaam।
Kantibhrantimi kanti shantimayi, var de tu nishkam
Barambar pranam, Maiya barambar pranam

