Bagalamukhi Mata Aarti

Bagalamukhi Mata Aarti

Jai Jai Shri Baglamukhi Mata,
Aarti karahun tumhari॥

Peet vasan tan par tav sohai,
Kundal ki chhabi nyaari।

Kar-kamalon mein mudgar dhaarai,
Astuti karahin sakal nar-naari॥

॥ Jai Jai Shri Baglamukhi Mata ॥

Champak maal gale laharaave,
Sur nar muni jai jayati uchari।

Trividh taap miti jaat sakal sab,
Bhakti sada tav hai sukhkaari॥

॥ Jai Jai Shri Baglamukhi Mata ॥

Paalat harat srijat tum jag ko,
Sab jeevan ki ho rakhvaari।

Moh nisha mein bhramat sakal jan,
Karahu hriday mahan, tum ujiyaari॥

॥ Jai Jai Shri Baglamukhi Mata ॥

Timir nashaavahu gyaan badhaavahu,
Ambe tumhi ho asuraari।

Santan ko sukh det sada hi,
Sab jan ki tum praan piyaari॥

॥ Jai Jai Shri Baglamukhi Mata ॥

Tav charanan jo dhyan lagaavai,
Taako ho sab bhav-bhayahaari।

Prem sahit jo karahin aarti,
Te nar mokshadhaam adhikaari॥

॥ Jai Jai Shri Baglamukhi Mata ॥

Baglamukhi ki aarti,
Padhai sunai jo koy।

Viniti Kulapati Mishra ki,
Sukh-sampati sab hoy॥

Spread the light of Sanatan Dharma

One shared paath can help another home begin its daily devotion.