Kuber Dev Chalisa

Kuber Dev Chalisa

|| Doha ||

Jaise Atal Himalaya, Aur Jaise Adig Sumer।

Aise Hi Swarg Dvaar Pe, Avichal Khade Kuber॥

Vighna Haran Mangal Karan, Suno Sharanaagat Ki Ter।

Bhakt Hetu Vitaran Karo, Dhan Maaya Ke Dher॥

|| Chaupai ||

Jai Jai Jai Shri Kuber Bhandari।Dhan Maaya Ke Tum Adhikaari॥

Tap Tej Punj Nirbhay Bhay Haari।Pavan Veg Sam Sam Tanu Baladhaari॥

Swarg Dvaar Ki Karen Paharedaari।Sevak Indra Dev Ke Aagyaakaari॥

Yaksh Yakshani Ki Hai Sena Bhaari।Senaapati Bane Yuddh Mein Dhanudhaari॥

Mahaa Yoddha Ban Shastra Dhaaren।Yuddh Karen Shatru Ko Maaren॥

Sada Vijayi Kabhi Na Haaren।Bhagat Janon Ke Sankat Taaren॥

Prapitaamah Hain Swayam Vidhaata।Pulista Vansh Ke Janm Vikhyaata॥

Vishrava Pita Idavida Ji Maata।Vibhishan Bhagat Aapke Bhraata॥

Shiv Charanon Mein Jab Dhyaan Lagaaya।Ghor Tapasya Kari Tan Ko Sukhaaya॥

Shiv Vardaan Mile Devatya Paaya।Amrit Paan Kari Amar Hui Kaaya॥

Dharm Dhwaja Sada Liye Haath Mein।Devi Devata Sab Phiren Saath Mein॥

Peetaambar Vastra Pahne Gaat Mein।Bal Shakti Poori Yaksh Jaat Mein॥

Swarn Singhaasan Aap Viraajen।Trishool Gada Haath Mein Saajen॥

Shankh Mridang Nagaare Baajen।Gandharv Raag Madhur Swar Gaajen॥

Chaunsath Yogani Mangal Gaaven।Riddhi-Siddhi Nit Bhog Lagaaven॥

Daas Daasani Sir Chhatra Phiraaven।Yaksh Yakshani Mil Chanvar Dhoolaaven॥

Rishiyon Mein Jaise Parashuraam Bali Hain।Devanh Mein Jaise Hanumaan Bali Hain॥

Purushon Mein Jaise Bheem Bali Hain।Yakshon Mein Aise Hi Kuber Bali Hain॥

Bhagaton Mein Jaise Prahalaad Bade Hain।Pakshiyon Mein Jaise Garud Bade Hain॥

Naagon Mein Jaise Shesh Bade Hain।Vaise Hi Bhagat Kuber Bade Hain॥

Kaandhe Dhanush Haath Mein Bhaala।Gale Phoolon Ki Pahni Maala॥

Swarn Mukut Aru Deh Vishaala।Door-Door Tak Hoe Ujaala॥

Kuber Dev Ko Jo Man Mein Dhaare।Sada Vijay Ho Kabhi Na Haare॥

Bigade Kaam Ban Jaayen Saare।Ann Dhan Ke Rahen Bhare Bhandaare॥

Kuber Gareeb Ko Aap Ubhaaren।Kuber Karj Ko Sheeghra Utaaren॥

Kuber Bhagat Ke Sankat Taaren।Kuber Shatru Ko Kshan Mein Maaren॥

Sheeghra Dhani Jo Hona Chaahe।Kyun Nahin Yaksh Kuber Manaaen॥

Yah Paath Jo Padhe Padhaaen।Din Dugana Vyaapaar Badhaaen॥

Bhoot Pret Ko Kuber Bhagaaven।Ade Kaam Ko Kuber Banaaven॥

Rog Shok Ko Kuber Nashaaven।Kalank Kodh Ko Kuber Hataaven॥

Kuber Chadhe Ko Aur Chadhaade।Kuber Gire Ko Punah Utha De॥

Kuber Bhaagya Ko Turant Jaga De।Kuber Bhoole Ko Raah Bata De॥

Pyaase Ki Pyaas Kuber Bujha De।Bhookhe Ki Bhookh Kuber Mita De॥

Rogi Ka Rog Kuber Ghata De।Dukhiya Ka Dukh Kuber Chhuta De॥

Baanjh Ki God Kuber Bhara De।Kaarobaar Ko Kuber Badha De॥

Kaaraagaar Se Kuber Chhuda De।Chor Thagon Se Kuber Bacha De॥

Court Case Mein Kuber Jitaavai।Jo Kuber Ko Man Mein Dhyaavai॥

Chunaav Mein Jeet Kuber Karaaven।Mantri Pad Par Kuber Bithaaven॥

Paath Kare Jo Nit Man Laai।Uski Kala Ho Sada Savaai॥

Jispe Prasann Kuber Ki Maai।Uska Jeevan Chale Sukhadaai॥

Jo Kuber Ka Paath Karaavai।Uska Beda Paar Lagaavai॥

Ujade Ghar Ko Punah Basaavai।Shatru Ko Bhi Mitra Banaavai॥

Sahastra Pustak Jo Daan Karaai।Sab Sukh Bhod Padaarth Paai॥

Praan Tyaag Kar Swarg Mein Jaai।Maanas Parivaar Kuber Kirti Gaai॥

|| Doha ||

Shiv Bhakton Mein Agrani, Shri Yaksharaaj Kuber।

Hriday Mein Gyaan Prakaash Bhar, Kar Do Door Andher॥

Kar Do Door Andher Ab, Jara Karo Na Der।

Sharan Pada Hoon Aapki, Daya Ki Drishti Pher॥

Paath complete

Continue with another paath or return to the deity page when you are ready.

Spread the light of Sanatan Dharma

One shared paath can help another home begin its daily devotion.