Om Jai Lakshmi Mata।Maiya Jai Lakshmi Mata॥
Tumko nishidin sevat।Hari Vishnu Vidhata॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata ॥
Uma, Rama, Brahmani।tum hi jag-mata॥
Surya-Chandrama dhyavat।Narad Rishi gaata॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata ॥
Durga roop Niranjani।sukh sampatti data॥
Jo koi tumko dhyata।riddhi-siddhi dhan paata॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata ॥
Tum Patal-nivasini।tum hi shubhdata॥
Karma-prabhav-prakashini।bhavanidhi ki trata॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata ॥
Jis ghar mein tum rahtin।sab sadgun aata॥
Sab sambhav ho jaata।man nahin ghabrata॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata ॥
Tum bin yagya na hote।vastra na koi paata॥
Khaan-paan ka vaibhav।sab tumse aata॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata ॥
Shubh-gun mandir sundar।Kshirodadhi-jaata॥
Ratna chaturdash tum bin।koi nahin paata॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata ॥
Mahalakshmiji ki aarti।jo koi jan gaata॥
Ur anand samata।paap utar jaata॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata ॥
Om Jai Lakshmi Mata।Maiya Jai Lakshmi Mata॥
Tumko nishidin sevat।Hari Vishnu Vidhata॥
॥ Om Jai Lakshmi Mata ॥

