॥ Doha ॥
Bandau Santoshi Charan, Riddhi Siddhi Daataar।Dhyaan Dharat Hi Hot Nar, Dukh Saagar Se Paar॥
Bhaktan Ko Santosh De, Santoshi Tav Naam।Kripa Karahu Jagadamb Ab, Aaya Tere Dhaam॥
॥ Chaupai ॥
Jai Santoshi Maat Anoopam।Shaanti Daayini Roop Manoram॥
Sundar Varan Chaturbhuj Roopa।Vesh Manohar Lalit Anoopa॥
Shwetaambar Roop Manahaari।Maa Tumhaari Chhavi Jag Se Nyaari॥
Divya Swaroopa Aayat Lochan।Darshan Se Ho Sankat Mochan॥
Jai Ganesh Ki Suta Bhavaani।Riddhi Siddhi Ki Putri Gyaani॥
Agam Agochar Tumhari Maaya।Sab Par Karo Kripa Ki Chhaaya॥
Naam Anek Tumhaare Maata।Akhil Vishva Hai Tumko Dhyaata॥
Tumne Roop Aneko Dhaare।Ko Kahi Sake Charitra Tumhaare॥
Dhaam Anek Kahaan Tak Kahiye।Sumiran Tab Karke Sukh Lahiye॥
Vindhyaachal Mein Vindhyavaasini।Koteshwar Saraswati Suhaasini॥
Kalkatte Mein Tu Hi Kaali।Dushtan Naashin Mahaakaaraali॥
Sambalpur Bahuchara Kahaati।Bhakt Janon Ka Dukh Mitaati॥
Jwaala Ji Mein Jwaala Devi।Poojat Nitya Bhakt Jan Sevi॥
Nagar Bambai Ki Mahaaraani।Mahaalakshmi Tum Kalyaani॥
Madura Mein Meenaakshi Tum Ho।Sukh Dukh Sabki Saakshi Tum Ho॥
Raajnagar Mein Tum Jagadambe।Bani Bhadrakaali Tum Ambe॥
Paavaagadh Mein Durga Maata।Akhil Vishva Tera Yash Gaata॥
Kaashi Puraadheeshwari Maata।Annapoorna Naam Suhaata॥
Sarvaanand Karo Kalyaani।Tum Hi Shaarada Amritvaani॥
Tumhari Mahima Jal Mein Thal Mein।Dukh Daaridra Sab Miten Pal Mein॥
Jete Rishi Aur Muneesha। Naarad Dev Aur Devesha॥
Is Jagati Ke Nar Aur Naari।Dhyaan Dharat Hain Maat Tumhaari॥
Jaapar Kripa Tumhaari Hoti।Vah Paata Bhakti Ka Moti॥
Dukh Daaridra Sankat Mit Jaata।Dhyaan Tumhaara Jo Jan Dhyaata॥
Jo Jan Tumhari Mahima Gaavai।Dhyaan Tumhaara Kar Sukh Paavai॥
Jo Man Raakhe Shuddh Bhaavana।Taaki Pooran Karo Kaamana॥
Kumati Nivaari Sumati Ki Daatri।Jayati Jayati Maata Jagadhaatri॥
Shukravaar Ka Divas Suhaavan।Jo Vrat Kare Tumhaara Paavan॥
Gud Chhole Ka Bhog Lagaavai।Katha Sunai Aur Dhyaan Lagaavai॥
Gud Chhole Ka Bhog Lagaavai।Katha Tumhaari Sune Sunaavai॥
Vidhivat Pooja Kare Tumhaari।Phir Prasaad Paave Shubhakaari॥
Shakti Saamarthya Ho Jo Dhanako।Daan-Dakshina De Vipran Ko॥
Ve Jagati Ke Nar Au Naari।Manavaanchhit Phal Paaven Bhaari॥
Jo Jan Sharan Tumhaari Jaave।So Nishchay Bhav Se Tar Jaave॥
Tumharo Dhyaan Kumaari Dhyaave।Nishchay Manavaanchhit Var Paavai॥
Sadhava Pooja Kare Tumhaari।Amar Suhaagin Ho Vah Naari॥
Vidhava Dhar Ke Dhyaan Tumhaara।Bhavasaagar Se Utare Paara॥
Jayati Jayati Jai Sankat Harani।Vighna Vinaashan Mangal Karani॥
Hum Par Sankat Hai Ati Bhaari।Vegi Khabar Lo Maat Hamaari॥
Nishidin Dhyaan Tumhaaro Dhyaata।Deh Bhakti Var Hum Ko Maata॥
Yah Chalisa Jo Nit Gaave।So Bhavasaagar Se Tar Jaave॥
॥ Doha ॥
Santoshi Maa Ke Sada Bandahoon Pag Nish Vaas।
Poorn Manorath Ho Sakal Maat Harau Bhav Traas॥
॥ Iti Shri Santoshi Mata Chalisa ॥

