Jai Saraswati Mata, Maiya Jai Saraswati Mata।
Sadgun Vaibhav Shalini, Tribhuvan Vikhyata
Jai Saraswati Mata
Chandravadani Padmasini, Dyuti Mangalkaari।
Sohe Shubh Hans Sawari, Atul Tejdhari
Jai Saraswati Mata
Baayen Kar Mein Veena, Daayen Kar Mala।
Sheesh Mukut Mani Sohe, Gale Motiyan Mala
Jai Saraswati Mata
Devi Sharan Jo Aaye, Unka Uddhar Kiya।
Paithi Manthara Daasi, Ravan Sanhaar Kiya
Jai Saraswati Mata
Vidya Gyan Pradayini, Gyan Prakash Bharo।
Moh Agyaan Aur Timir Ka, Jag Se Naash Karo
Jai Saraswati Mata
Dhoop Deep Phal Mewa, Maa Sweekar Karo।
Gyanchakshu De Mata, Jag Nistaar Karo
Jai Saraswati Mata
Maa Saraswati Ki Aarti, Jo Koi Jan Gaave।
Hitkari Sukhkari, Gyan Bhakti Paave
Jai Saraswati Mata
Jai Saraswati Mata, Jai Jai Saraswati Mata।
Sadgun Vaibhav Shalini, Tribhuvan Vikhyata
Jai Saraswati Mata

