Surya Dev Aarti

Surya Dev Aarti

Om Jai Surya Bhagwan, Jai Ho Dinkar Bhagwan।

Jagat Ke Netra Swaroopa, Tum Ho Trigun Swaroopa।

Dharat Sab Hi Tav Dhyaan, Om Jai Surya Bhagwan

Om Jai Surya Bhagwan

Saarathi Arun Hai Prabhu Tum, Shwet Kamal Dhaari. Tum Chaar Bhujadhaari।

Ashwa Hain Saath Tumhare, Koti Kiran Pasaare. Tum Ho Dev Mahaan

Om Jai Surya Bhagwan

Ushaakaal Mein Jab Tum, Udayachal Aate. Sab Tab Darshan Paate।

Phailaate Ujiyaara, Jaagta Tab Jag Saara. Kare Sab Tab Gunagaan

Om Jai Surya Bhagwan

Sandhya Mein Bhuvaneshwar Astachal Jaate. Godhan Tab Ghar Aate।

Godhooli Bela Mein, Har Ghar Har Aangan Mein. Ho Tab Mahima Gaan

Om Jai Surya Bhagwan

Dev Danuj Nar Naari, Rishi Muni Var Bhajate. Aaditya Hriday Japate।

Stotra Ye Mangalkaari, Iski Hai Rachna Nyaari. De Nav Jeevandan

Om Jai Surya Bhagwan

Tum Ho Trikaal Rachiyata, Tum Jag Ke Aadhaar. Mahima Tav Aparampaar।

Praanon Ka Sinchan Karte, Bhakton Ko Apne Dete. Bal Buddhi Aur Gyaan

Om Jai Surya Bhagwan

Bhoochar Jalchar Khechar, Sabke Ho Praan Tumhi. Sab Jeevon Ke Praan Tumhi।

Ved Puraan Bakhaane, Dharm Sabhi Tumhein Maane. Tum Hi Sarv Shaktimaan

Om Jai Surya Bhagwan

Poojan Karti Dishaayen, Pooje Dash Dikpaal. Tum Bhuvanon Ke Pratipaal।

Rituyen Tumhaari Daasi, Tum Shaashwat Avinaashi. Shubhkaari Anshumaan

Om Jai Surya Bhagwan

Om Jai Surya Bhagwan, Jai Ho Dinkar Bhagwan।

Jagat Ke Netra Swaroopa, Tum Ho Trigun Swaroopa।

Dharat Sab Hi Tav Dhyaan, Om Jai Surya Bhagwan

Spread the light of Sanatan Dharma

One shared paath can help another home begin its daily devotion.