Vishwakarma Ji Chalisa

Vishwakarma Ji Chalisa

॥ Doha ॥

Shri Vishwakarm Prabhu Vandaaun, Charankamal Dharidhyan।

Shri, Shubh, Bal Aru Shilpagun, Deejai Daya Nidhan॥

॥ Chaupai ॥

Jai Shri Vishwakarm Bhagwana। Jai Vishweshwar Kripa Nidhana॥

Shilpacharya Param Upkari। Bhuvana-Putra Naam Chhavikari॥

Ashtambasu Prabhas-Sut Nagar। Shilpagyan Jag Kiyau Ujagar॥

Adbhut Sakal Srishti Ke Karta। Satya Gyan Shruti Jag Hit Dharta॥

Atul Tej Tumhato Jag Maahin। Koi Vishva Manh Janat Naahin॥

Vishva Srishti-Karta Vishvesha। Adbhut Varan Viraj Suvesha॥

Ekanan Panchanan Raaje। Dvibhuj Chaturbhuj Dashbhuj Saaje॥

Chakra Sudarshan Dharan Keenhe। Vari Kamandal Var Kar Leenhe॥

Shilpashastra Aru Shankh Anoopa। Sohat Sutra Maap Anuroopa॥

Dhanush Baan Aru Trishool Sohe। Nauven Haath Kamal Man Mohe॥

Dasvaan Hast Barad Jag Hetu। Ati Bhav Sindhu Maanhi Var Setu॥

Sooraj Tej Haran Tum Kiyau। Astra Shastra Jisse Niramayau॥

Chakra Shakti Aru Trishool Eka। Dand Paalki Shastra Aneka॥

Vishnuhin Chakra Shool Shankarahin। Ajahin Shakti Dand Yamrajahin॥

Indrahin Vajra Va Varunahin Paasha। Tum Sabki Pooran Ki Aasha॥

Bhanti-Bhanti Ke Astra Rachaye। Satpath Ko Prabhu Sada Bachaye॥

Amrit Ghat Ke Tum Nirmata। Sadhu Sant Bhaktan Sur Trata॥

Lauh Kaasht Taamra Paashana। Swarn Shilp Ke Param Sajana॥

Vidyut Agni Pavan Bhoo Vari। Inse Adbhut Kaaj Savaari॥

Khaan-Paan Hit Bhaajan Naana। Bhavan Vibhishat Vividh Vidhana॥

Vividh Vastr Hit Yatran Apaara। Virachehu Tum Samast Sansaara॥

Dravya Sugandhit Suman Aneka। Vividh Maha Aushadhi Saviveka॥

Shambhu Viranchi Vishnu Surpala। Varun Kuber Agni Yamkaala॥

Tumhre Dhig Sab Milkar Gayau। Kari Pramaan Puni Astuti Thayau॥

Bhe Aatur Prabhu Lakhi Sur-Shoka। Kiyau Kaaj Sab Bhaye Ashoka॥

Adbhut Rache Yaan Manhaari। Jal-Thal-Gagan Maanhi-Samchaari॥

Shiv Aru Vishwakarm Prabhu Maanhi। Vigyan Kah Antar Naahin॥

Baranai Kaun Swaroop Tumhara। Sakal Srishti Hai Tav Vistaara॥

Rachet Vishva Hit Trividh Shareera। Tum Bin Harai Kaun Bhav Haari॥

Mangal-Mool Bhagat Bhay Haari। Shok Rahit Trailok Vihaari॥

Chaaro Yug Parataap Tumhara। Ahai Prasiddh Vishva Ujiyaara॥

Riddhi Siddhi Ke Tum Var Data। Var Vigyan Ved Ke Gyata॥

Manu May Tvashta Shilpi Taksha। Sabki Nit Karte Hain Raksha॥

Panch Putra Nit Jag Hit Dharma। Havai Nishkaam Karai Nij Karma॥

Prabhu Tum Sam Kripaal Nahin Koi। Vipda Harai Jagat Manh Joi॥

Jai Jai Jai Bhauvan Vishwakarma। Karahu Kripa Gurudev Sudharma॥

Ik Sau Aath Jaap Kar Joi। Chheejai Vipatti Mahasukh Hoi॥

Padhahi Jo Vishwakarm-Chalisa। Hoy Siddh Saakshi Gaurisha॥

Vishva Vishwakarma Prabhu Mere। Ho Prasann Hum Baalak Tere॥

Main Hoon Sada Umapati Chera। Sada Karo Prabhu Man Manh Dera॥

॥ Doha ॥

Karahu Kripa Shankar Saris, Vishwakarma Shivroop।

Shri Shubhda Rachna Sahit, Hriday Basahu Soor Bhoop॥

Paath complete

Continue with another paath or return to the deity page when you are ready.

Spread the light of Sanatan Dharma

One shared paath can help another home begin its daily devotion.