॥ Doha ॥
Baat Hamaari Tum Suno,Mere Priya Yamraaj।
Aao Milkar Hum Karen,Is Duniya Par Raaj॥
॥ Chaupai ॥
Mitra Raaj Yamraaj Hamaare।Tum Lagte Ho Sabse Pyaare॥
Iska Raaj Na Koi Jaane।Bewakoof Mujhko Sab Maane॥
Mujhe Fark Padta Na Koi।Achchha Hai Ye Kissa Goi॥
Jaise Chalta Chalne Dena।Hamen Kisi Se Kya Hai Lena॥
Aakhir Tumse Darna Kaisa।Maang Rahe Kya Unse Paisa॥
Mrityu Dev Tum Maane Jaate।Aap Narak Adhipati Kahalaate॥
Bhainsa Vaahan Chadhkar Chalte।Gada, Paash Ko Dhaaran Karte॥
Laal Vastra Tum Dhaaran Karte।Sab Praani Jan Tumse Darte॥
Pita Tumhaare Surya Kahaate।Aru Sangya Teri Hain Maate॥
Avataari Tum Dharm Kahaate।Mrityu Niyam Paalan Karvaate॥
Tum Nivaas Yamlok Mein Karte।Pitrlok Bhi Jisko Kahte॥
Tumhen Narak Ka Raaja Maanen।Nyaay Dheesh Mrit Aatma Jaanen॥
Karm Lekh Sabka Rakhvaate।Swarg-Narak Sabko Pahunchaate॥
Punarjanm Ki Maaya Rachte।Praani Jisko Kahaan Samajhte॥
Jo Jan Jaisa Karm Hai Karta।Usko Vaisa Phal Hai Milta॥
Chitragupt Ji Jaisa Likhte।Aksharashah Tum Paalan Karte॥
Koi Naam Nahin Leta Hai।Praani Tumse Bas Darta Hai॥
Itna Bhi Vo Nahin Samajhta।Antim Saathi Tu Hi Banta॥
Ismein Doshi Kisko Maane।Sabke Apne Raag Taraane॥
Koi Tumko Na Pahchaane।Par Aparaadhi Pahale Maane॥
Sabki Apni-Apni Leela।Yam Leela Se Padta Peela॥
Karm-Dharm Ki Ye Duniya Hai।Har Praani Banta Guniya Hai॥
Nahin Mitrata Tumse Karta।Doori Jaane Kyon Hai Rakhta॥
Sabke Praan Samay Par Harte।Bhed-Bhaav Tum Kabhi Na Karte॥
Tum Kab Iski Chinta Karte।Mast Magan Apne Mein Rahte॥
Nahin Shikaayat Kisi Ki Karte।Maryaada Mein Khud Ko Rakhte॥
Niyam Dharm Ka Paalan Karte।Aap Kisi Se Kabhi Na Darte॥
Yoon To Bhool Chook Na Karte।Samay Maan Uska Bhi Rakhte॥
Kabhi Aap Na Aalas Karte।Kaam Niyam Se Nishchit Karte॥
Samay Kaal Ki Fikr Na Karte।Apna Bhed Chhupaakar Rakhte॥
Aavbhagat Koi Nahin Karta।Antim Saathi Yam Se Darta॥
Nahin Chaahata Yam Ki Baanhen।Bhale Kathin Jeevan Ki Raahen॥
Jo Praani Tumko Hai Dhyaata।Ant Samay Mein Vo Muskaata॥
Naahak Tumse Jo Nahin Darta।Ant Samay Mein Hansta Rahta॥
Mahima Yam Ki Jisne Jaani।Kahti Duniya Usko Gyaani॥
Adbhut Anupam Aap Kahaani।Chaah Raha Main Jise Sunaani॥
Jo Jan Yam Ka Aadar Karta।Kabhi Nahin Vo Kisi Se Darta॥
Sukh-Dukh Mein Sam Bhaavi Rahta।Kabhi Nahin Asamay Vo Dhahata॥
Sheesh Charan Nij Aap Jhukaata।Kahta Jo Hai Aap Vidhaata॥
Jo Bhi Dil Mein Tumhen Basaata।Sang Aapke Sada Suhaata॥
॥ Doha ॥
Jai Jai Shri Yamdev Ji,Karo Jagat Uddhaar।
Aap Kshama Karte Raho,Mam Anuchit Vyavahaar॥
Haath Jod Vinati Karun,Sada Jhukaaun Maath।
Bas Itni Si Chaah Hai,Rahen Aap Mam Saath॥
॥ Iti Yamraaj Chalisa Sampoornam ॥

