Om Jai Yamuna Mata Hari Jai Yamuna Mata।
Jo nahaave phal paave sukh dukh ki daata
Om Jai Yamuna Mata
Paavan ShriYamuna jal agam bahai dhaara।
Jo jan sharan mein aaya kar diya nistaara
Om Jai Yamuna Mata
Jo jan pratah hi uthkar nitya snaan kare।
Yam ke traas na paave jo nitya dhyan kare
Om Jai Yamuna Mata
Kalikal mein mahima tumhari atal rahi।
Tumhara bada mahatam chaaro ved kahi
Om Jai Yamuna Mata
Aan tumhare Mata Prabhu avataar liyo।
Nitya nirmal jal peekar Kans ko maar diyo
Om Jai Yamuna Mata
Namo Maat bhay harani shubh mangal karani।
Man bechain bhaya hain tum bin Vaitarani
Om Jai Yamuna Mata

