Mahakali Mata Aarti

Mahakali Mata Aarti

Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva।
Haath Jod, Tere Dwaar Khade॥

Paan Supaari, Dhwaja, Naariyal।
Le Jwaala Teri Bhent Dhare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Sun Jagdambe, Kar Na Vilambe।
Santan Ke Bhandaar Bhare॥

Santan Pratipaali, Sada Khushhaali।
Maiya Jai Kaali Kalyaan Kare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Buddhi Vidhaata, Tu Jag Maata।
Mera Kaaraj Siddh Kare॥

Charan Kamal Ka Liya Aasara।
Sharan Tumhaari Aan Pade॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Jab-Jab Bheer Padi Bhaktan Par।
Tab-Tab Aay Sahaay Kare॥

Baar-Baar Tain Sab Jag Mohayo।
Taruni Roop Anoop Dhare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Maata Hokar Putra Khilaave।
Kahin Bhaarya Bhog Kare॥

Santan Sukhdaai Sada Sahaai।
Sant Khade Jaikaar Kare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Brahma Vishnu Mahesh Sahasphan Liye।
Bhent Den Tere Dwaar Khade॥

Atal Singhaasan Baithi Meri Maata।
Sir Sone Ka Chhatra Phire॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Vaar Shanishchar Kumkum Barano।
Jab Lunkad Par Hukum Kare॥

Khadag Khappar Trishool Haath Liye।
Raktabeej Ko Bhasm Kare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Shumbh Nishumbh Ko Kshan Mein Maare।
Mahishasur Ko Pakad Dale॥

Aadit Vaari Aadi Bhavaani।
Jan Apne Ka Kasht Hare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Kupit Hoy Daanav Maare।
Chand-Mund Sab Choor Kare॥

Jab Tum Dekhi Daya Roop Ho।
Pal Mein Sankat Door Kare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Saumya Swabhaav Dharayo Meri Maata।
Jan Ki Arj Kabool Kare॥

Saat Baar Ki Mahima Barni।
Sab Gun Kaun Bakhaan Kare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Singh Peeth Par Chadhi Bhavaani।
Atal Bhavan Mein Raaj Kare॥

Darshan Paaven Mangal Gaaven।
Siddh Saadhak Teri Bhent Dhare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Brahma Ved Padhe Tere Dwaare।
Shiv Shankar Dhyaan Dhare॥

Indra Krishna Teri Karen Aarti।
Chanvar Kuber Dulaay Rahe॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Jai Janani Jai Maatu Bhavaani।
Atal Bhavan Mein Raaj Kare॥

Santan Pratipaali Sada Khushhaali।
Maiya Jai Kaali Kalyaan Kare॥

॥ Mangal Ki Seva, Sun Meri Deva ॥

Spread the light of Sanatan Dharma

One shared paath can help another home begin its daily devotion.