|| Doha ||
Garud Vahini Vaishnavi Trikuta Parvat Dhaam।
Kaali, Lakshmi, Saraswati, Shakti tumhen Pranaam॥
|| Chaupai ||
Namo Namo Vaishno Varadaani।Kalikaal mein Shubh Kalyaani॥
Mani Parvat par Jyoti tumhari।Pindi roop mein ho Avataari॥
Devi Devata ansh diyo hai।Ratnakar ghar janm liyo hai॥
Kari tapasya Ram ko paaun।Treta ki Shakti kahlaaun॥
Kaha Ram Mani Parvat jaao।Kaliyug ki Devi kahlaao॥
Vishnu roop se Kalki bankar।Loonga Shakti roop badalkar॥
Tab tak Trikuta ghaati jaao।Gufa andheri jaakar paao॥
Kaali Lakshmi Saraswati Maa।Karengi poshan Parvati Maa॥
Brahma Vishnu Shankar dvaare।Hanumat Bhairon prahari pyaare॥
Riddhi Siddhi chanvar dulaaven।Kaliyug vaasi poojat aaven॥
Paan supari dhvaja naariyal।Charanaamrit charanon ka nirmal॥
Diya phalit var Maa muskaai।Karan tapasya Parvat aai॥
Kali kaal ki bhadki jvaala।Ik din apna roop nikaala॥
Kanya ban Nagrota aai।Yogi Bhairon diya dikhaai॥
Roop dekh sundar lalchaaya।Peechhe-peechhe bhaaga aaya॥
Kanyaon ke saath mili Maa।Kaul Kandoli tabhi chali Maa॥
Deva Maai darshan deenha।Pavan roop ho gai praveena॥
Navratron mein leela rachaai।Bhakt Shridhar ke ghar aai॥
Yogin ko bhandara deenha।Sabne ruchikar bhojan keena॥
Maans madira Bhairon maangi।Roop pavan kar ichchha tyaagi॥
Baan maarkar Ganga nikaali।Parvat bhaagi ho matwaali॥
Charan rakhe aa ek shila jab।Charan Paduka naam pada tab॥
Peechhe Bhairon tha balkaari।Choti gufa mein jaay padhaari॥
Nau maah tak kiya nivaasa।Chali phodkar kiya prakaasha॥
Aadya Shakti Brahma Kumaari।Kahlai Maa Aad Kumaari॥
Gufa dvaar pahunchi muskaai।Langur Veer ne aagya paai॥
Bhaaga-bhaaga Bhairon aaya।Raksha hit nij shastra chalaaya॥
Pada sheesh ja Parvat upar।Kiya kshama ja diya use var॥
Apne sang mein pujvaaungi।Bhairon ghaati banvaaungi॥
Pehle mera darshan hoga।Peechhe tera sumiran hoga॥
Baith gai Maa Pindi hokar।Charanon mein bahta jal jhar-jhar॥
Chaunsath Yogini Bhairon barvan।Sapt Rishi aa karte sumaran॥
Ghanta dhvani Parvat par baaje।Gufa niraali sundar laage॥
Bhakt Shridhar poojan keena।Bhakti seva ka var leena॥
Sevak Dhyaanu tumko dhyaaya।Dhvaja aur chola aan chadhaaya॥
Singh sada dar pehra deta।Panja sher ka dukh har leta॥
Jambu Dweep Maharaj manaaya।Sar sone ka chatra chadhaaya॥
Heere ki moorat sang pyaari।Jage अखण्ड ik Jyoti tumhari॥
Aashvin Chaitra Navratre aaun।Pindi Rani darshan paaun॥
Sevak Sharma sharan tihaari।Haro Vaishno vipat hamaari॥
|| Doha ||
Kaliyug mein mahima teri,hai Maa aparampaar।
Dharm ki haani ho rahi,pragat ho avataar॥
|| Iti Shri Vaishno Devi Chalisa ||

