॥ Doha ॥
Vishnu suniye vinay sevak ki chitlaay.
Keerat kuch varnan karoon deejai gyaan bataay.
॥ Chaupai ॥
Namo Vishnu Bhagwaan kharaari।Kasht nashaavan akhil bihaari॥
Prabal jagat mein shakti tumhaari।Tribhuvan phail rahi ujiyaari॥
Sundar roop manohar soorat।Saral swabhaav mohni moorat॥
Tan par peetaambar ati sohat।Baijanti maala man mohat॥
Shankh chakra kar gada biraaje।Dekhat daitya asur dal bhaaje॥
Satya dharm mad lobh na gaaje।Kaam krodh mad lobh na chaaje॥
Santbhakt sajjan manranjan।Danuj asur dushtan dal ganjan॥
Sukh upjaay kasht sab bhanjan।Dosh mitaay karat jan sajjan॥
Paap kaat bhav sindhu utaaran।Kasht naashkar bhakt ubaaran॥
Karat anek roop prabhu dhaaran।Keval aap bhakti ke kaaran॥
Dharani dhenu ban tumhin pukaara।Tab tum roop Ram ka dhaara॥
Bhaar utaar asur dal maara।Raavan aadik ko sanhaara॥
Aap varaah roop banaaya।Hiranyaaksh ko maar giraaya॥
Dhar matsya tan sindhu banaaya।Chaudah ratnan ko niklaaya॥
Amilakh asuran dvand machaaya।Roop mohini aap dikhaaya॥
Devan ko amrit paan karaaya।Asuran ko chhavi se bahlaaya॥
Kurm roop dhar sindhu majhaaya।Mandrachal giri turat uthaaya॥
Shankar ka tum phand chhudaaya।Bhasmaasur ko roop dikhaaya॥
Vedan ko jab asur dubaaya।Kar prabandh unhen dhoondhavaaya॥
Mohit bankar khalahi nachaaya।Usi kar se bhasm karaaya॥
Asur Jalandhar ati baldaai।Shankar se un keenh ladaai॥
Haar paar Shiv sakal banaai।Keen sati se chhal khal jaai॥
Sumiran keen tumhen Shivraani।Batlaai sab vipat kahaani॥
Tab tum bane munishwar gyaani।Vrinda ki sab surati bhulaani॥
Dekhat teen danuj shaitaani।Vrinda aayi tumhen laptaani॥
Ho sparsh dharm kshati maani।Hana asur ur Shiv shaitaani॥
Tumne Dhruv Prahlaad ubaare।Hiranyakush aadik khal maare॥
Ganika aur Ajaamil taare।Bahut bhakt bhav sindhu utaare॥
Harahu sakal santaap hamaare।Kripa karahu Hari sirjan haare॥
Dekhun main nij darash tumhaare।Deen bandhu bhaktan hitkaare॥
Chahat aapka sevak darshan।Karahu daya apni Madhusoodan॥
Jaanoon nahin yogya jap poojan।Hoy yagya stuti anumodan॥
Sheel daya santosh sulakshan।Vidit nahin vratbodh vilakshan॥
Karahun aapka kis vidhi poojan।Kumati vilok hot dukh bheeshan॥
Karahun pranaam kaun vidhi sumiran।Kaun bhaanti main karahun samarpan॥
Sur muni karat sada sevakaai।Harshit rahat param gati paai॥
Deen dukhin par sada sahaai।Nij jan jaan lev apnaai॥
Paap dosh santaap nashaao।Bhav bandhan se mukt karaao॥
Sukh sampatti de sukh upjaao।Nij charanan ka daas banaao॥
Nigam sada ye vinay sunaavai।Padhe suney so jan sukh paavai॥
॥ Doha ॥
Bhakt hriday mein vaas karen poorn keejie kaaj।
Shankh chakra aur gada padma he Vishnu Maharaaj॥

